Wednesday, June 18, 2008

shayeri Collections

shayeri Collections
“ Kasur na unka hai na mera,
Hum dono hi rishton ki rasmein nibhate rahe, Woh dosti ka ehsaas jatate rahe,
Hum mohabbat ko dil mein chhupate rahain”

“Mombati ka andar ka dhaga bola, Main jalta hoon to tu kyon pighalti hai?Mombati boli, Jisko dil mein jagah di woh bichade to aansoo to niklenge hi”

“ Naa ana usse leke mere janaze mein, Meri Mohabbat ki tauhin hogi, Main 4 logon ke kandhe pe hounga, Aur meri jaan paidal hogi”
“Nakaam si koshish kiya karte hain,Hum hain ki unse pyar kiya karte hain,Khuda ne takdir me ek tuta tara nahi likha,Aur hum hain ki chaand ki aarzu kiya karte hain”
“ Sabne kaha Dosti ek Dard hai, Humne kaha Dard kabool hai, Subne kaha is Dard ke saath Jee na Paogay, Humne kaha teri Dosti ki saath Marna kabool hai”
“Sitaron se agey jahan aur bhi hein,Abhi Mohabbat k imthan aur bhi hein,Tum hi nehi jalatey mere dil ko,College mein Ladkiyan aur bhi hein”
Aansuon ko bohut samjhaya ke yun na aya karo, mehfil mein hamara mazaak na udaya karo, is par aansu bole mehfil mein tumhe akela paate hain isliye chale aate hain
“ Bhool Se Agar Koi Bhool Hui,To Bhool Samajke Use Bhool Jana,Arey Bhoolna Sirf Bhool Ko,Bhoolkar Bhi Hume Na Bhool Jana”
“ Khuda se maine ek dua mangi, dua me apni maut mangi,Phir khuda ne kaha maut to tujhe me de du par usko kya kahu jisne teri lambi umar mangi.
• Sawaal paani ka nahi, Pyaas ka hai,Sawaal maut ka nahi, Saans ka hai,Dost to duniya mein bahut hain magar,Sawaal dosti ka nahi Vishwas ka hai
Aapki dosti ki ek nazar chahiye; Dil hai beghar use ek Ghar chahiyeBas yun hi saath chalte raho ae dost; Yeh Dosti hume umar bhar chahiye

Saton Aasmaon ki sair ham kar aae, Har ek tare se Dosti kar aaye, Ek Tara khas tha jise hum apne saath le aaye,Varna aap hi Sochiye ki aap is zameen par kyoon aaye?




kahin koi zakhm nai phir bhi kyun dard ka ehsas hai,lagta hai dil ka ek tukda aaj bhi uske paas hai.
• Abhi to Baaj ki asali udaan baaki hai,Abhi to aapka imtihan baaki hai,Abhi tak to aapne zamin dekhi hai,Abhi to pura aasmaan baaki hai.
ret pe naam kabhi likhte nahin kyonki ret pe likhe nam kabhi tikte nahin,
aap kehte ho tum pathar dil ho,par pathar pe likhe naam kabhi mitte nahin


Raaz dil ka dil mein chupate hai woh, samne aate hi nazar jhukate hai woh,Baat karte nahi, ya hoti nahi, par shukar hai jab bhi milte hai muskurate hai woh.
Raaz dil ka dil mein chupate hai woh,Samne aate hi nazar jhukate hai woh,Baat karte nahi, ya hoti nahi,Par shukar hai jab bhi milte hai muskurate hai woh.
Khuda se maine ek dua mangi, dua me apni maut mangi,Phir khuda ne kaha maut to tujhe me de du par usko kya kahu jisne teri lambi umar mangi.
Har phool ki ajab kahani hai,chup rehna bhi pyar ki nishani hai,kahin koi zakhm nai phir bhi kyun dard ka ehsas hai,lagta hai dil ka ek tukda aaj bhi uske paas hai.
Abhi to Baaj ki asali udaan baaki hai,Abhi to aapka imtihan baaki hai,Abhi tak to aapne zamin dekhi hai,Abhi to pura aasmaan baaki hai.
Tu dekh ya na dekh, tere dekhne ka gam nahi,Par teri ye na dekhne ki ada kisi dekhne se kam nahi.
Woh inkar karte hain ikrar ke liye,Nafrat bhi karte hain to pyar ke liye,Ulti chaal chalte hain yeh ishq karne wale,Ankhein band karte hain didar ke liye.
Woh ruthte rahe hum manate rahe,Unki raahon me palkein bichate rahe,Unhone kabhi palat ke bhi na dekha,Hum ankh jhapkane se bhi katrate rahe.
Manzil unhi ko milti hai, Jinke sapno me jaan hoti hai,Pankh se kuchh nahi hota, Hauslon se udaan hoti hai.
Dhoka diya tha jab tum ne mujhe,Dil se main naraaz tha,Phir socha ki dil se tumhe nikal dun,Magar woh kambakth dil bhi tumhare paas tha.....
Kismat par aitbar kisko hai,Mil jaye khushi inkaar kisko hai,Kuch majburian hain mere dost,Warna judai se pyaar kisko hai.
Hume Hasne-Hasane ki aadat hai, Nazron se Nazar Milane ki aadat hai,Par hamari to nazar unse hai ja mili, Jinhe nazar jhukake Sharmane ki Aadat hai
Koi ankhon se baat kar leta hai,Koi ankhon mein mulakat kar leta hai,Bada mushkil hota hai jawab dena,Jab koi khamosh rehkar sawaal kar leta hai.
Ek din hamare annsoon humse pooch baithe, humey roz -roz kyon bulate ho,Humne kaha hum yaad to unhe karte hain tum kyon chale aate ho.
Soch ko badlo, sitare badal jayeng,Najar ko badlo, nazare badal jayenge,Kashtiya badalne ki jarurat nahi,Dishaon ko badlo, KINARE badal jayenge.
Aapki muskan hamari kamjori hai,Keh na pana hamari majburi hai,Aap kyon nahin samajhte is khamoshi ko,Kya khamoshi ko zuban dena jaruri hai?
Tere DIL mein rahenge SMS bankar,Dhadkano mein bajenge RINGTONE bankar,Kabhi apne DIL se juda mut Samajana,Hum tere saath chalenge NETWORK bankar!

0 comments:

Downloading or using a unauthorized version of the post mention in this blog is illegal, the content is hosted on other websites and is being provided here just for news purpose. DISCLAIMER:-The content provided in the website has been taken fom various sources and has been compiled here only for informational purposes.If any mishappening happens with any indivvidual,the owner will not be held responsible for it in any case.

©2008 unfoldtopics.blogspot.com

Enter your email address:

Delivered by FeedBurner

Subscribe to UNFOLD TOPICS by Email

Enter Your Friends Email Address Bellow